top horror movie #horrormovies #horror #jinn #horrorstory #bollywood Netflix
99 views · 2026/10/11
☠️ VIDEO ME DIKHAYI GAYI 10 HORROR MOVIES:
*1. NAILS (2017)*
Ek aurat accident ke baad hospital me paralyzed ho jati hai, bol bhi nahi sakti. Raat ko uske kamre me ek bhoot aata hai jo sirf usi ko dikhta hai. Doctor sochte hain uska wehem hai... par Nails asli hai.
*2. SCARY STORIES TO TELL IN THE DARK (2019)*
1968 me kuch baccho ko ek purani haveli me ek kitaab milti hai, usme khud-ba-khud nayi kahaniyan likhi jati hain. Jo kahani likhti hai, wahi baccho ke sath sach me hota hai. Jangla wala monster iska sabse darawna scene hai.
*3. DARK AWAKENING (2014)*
Ek ghar jiske bed ke neeche se 6 haath nikal rahe hain... Ek maa ko lagta hai uski beti ka koi purana raaz usko wapas bula raha hai. "Some secrets are better off buried"
*4. THE FINAL (2010)*
School ke bully baccho ko ek ladki ne ek raat ke liye bulaya... badla lene ke liye. Blackboard pe likha hai "I will not kill my classmates". Par kya wo sach me nahi maregi?
*5. AWOKEN (2019)*
"Never sleep again" - Ek ladki jo neend ki beemari ka ilaaj dhund rahi hai, ek hospital me fas jati hai jahan mare hue patient jaag rahe hain.
*6. THE HAUNTING OF HILL HOUSE (Netflix Series 2018)*
Duniya ki sabse darawni web series me se ek. Ek parivaar jo Hill House me bada hua, har bache ne ek alag bhoot dekha. Wo latakti hui white dress wala scene kabhi nahi bhoolega.
*7. THE WOMAN IN BLACK: ANGEL OF DEATH (2015)*
WW2 ke time ek school ke baccho ko ek sunsaan bhoot bangla me rakha jata hai. Wahan kaale kapdo wali aurat aati hai aur baccho ko le jati hai. Chhota baccha aur darwaze pe khadi aurat - goosebumps!
*8. THE WIG (2005) - Korean Horror*
Cancer se lad rahi ek ladki ek wig pehenti hai, aur uske baad uske andar ek dusri aurat ki aatma aa jati hai. Kanghi karte hi baal nahi, khoon nikalta hai.
*9. APARTMENT 143 / EMERGO (2011)*
"The First Real Ghost Story" - Ek team sach me bhoot pakadne Apartment 143 me jati hai. Camera pe jo record hua wo dekh ke scientists bhi dar gaye. Found footage wali best horror.
*10. YELLOW EYES (2025)*
Nayi film - "It's not possession, it's a return" - Aankhein peeli ho rahi hain, matlab andar kuch purana jaag raha hai.
#horrormovies #scarymovies #top10horror #bhoot #hindihorror #nailsmovie #hauntingofhillhouse
Comments
0Log in to comment.
No comments yet.